Skip to main content

Shiv Amritwani (शिव अमृतवाणी) Anuradha Paudwal lyrics | Shiv Bhajan

Shiv Amritwani Bhajan Lyrics: Shiv is one of the strongest god in hindu mythology, also known as Mahadev, Rudra , Sarva , Vishwa and many more. Shiv Shankar is Anant means that he is endless ,who never born or never die. Shiv amritwani describes about Shambu Baba.



Bhajan: Shiv Amritwani

Album: Shiv Amritwani

Singer: Anuradha Paudwal

Lyrics: Traditional

Music Label: T-Series

Shiv Amritwani Bhajan MP3 Text Lyrics 

1
Kalp taro roop atma prem sudha Shiv naam

Hit karak sanjivani Shiv chintan aviraam

Patit pawan jaise madhu Shiv rasna ke ghol

Bhakti ke hansa hi chuge moti ye anmol

Jaise tanik suhaga sone ko chamkaye

Shiv sumiran se atma adhbhut nikhari jaye

Jaise chandan vriksh ko dashte nahi hai naag

Shiv bhakto ke chole ko kabhi lage na daag

Om namah Shivay om namah Shivay

Daya nidhi bhuteshwar Shiv hai chatur sujan

Kan kan bheetar hai base neel kanth bhagwan

Chandra chood ke trinetra uma pati vishvashe

Sharnaghat ke ye sada kaate sakal klesh

Shiv dware prapanch ka chal nahi sakta khel

Aag aur pani ka jaise hota nahi hai mail

Bhaya bhanjan natraj hai damru wale naath

Shiv ka vandhan jo kare Shiv hai unke saath

Om namah Shivay om namah Shivay

Lakho ashvamedh ho sou ganga asnan

Inse uttam hai kahi Shiv charno ka dhyan

Alakh niranjan naad se upje aatm gyan

Bhatke ko rasta mile mushkil ho aasan

Aamar guno ki khan hai chit shudhiShiv jaap 

Satsangatee me baith kar karlo pashchatap

Lingeshwar ke manan se sidh ho jate kaaj

Namah Shivaya ratata ja Shiv rakhenge laaj

Om namah Shivay om namah Shivay

Shiv charno ko chhune se tan man pawan hoye

Shiv ke roop anup ki samta kare na koi

Maha bali maha dev hai maha prabhu maha kaal

Asurankhandan bhakt ki peeda hare tatkal

Sharva vyapi Shiv bhola dharm roop sukh karya

Amar ananta bhagwanta jag ke palan haar

Shiv karta sansar ke Shiv shristi ke mool

Rom rom Shiv ramne do Shiv na jayio bhool

Om namah Shivay om namah Shivay

Om namah Shivay om namah Shivay

Om namah Shivay om namah Shivay

Om namah Shivay om namah Shivay

2

Shiv amrit ki pavan dhara

Dho deti har kast humara

Shiv ka paath sada sukh dayi

Shiv ke bin hai kon sahai

Shiv ki niss din kijo bhakti

Denge Shiv har bhaye se mukti

Mathe dharo Shiv dham ki tuli

Tut jayegi yaam ki suli

Shiv ka sadhak dukh na maane

Shiv ko har pal sunmuk jane

Sop di jis ne dor

Lute na usko pancho chor

Shiv sagar me jo jan dubee

Sankat se woh has ke jujhe

Shiv hai jinke sangi saathi

Unhe na vipta kabhi sattati

Shiv bhaktan ka pakde haath

Shiv santan ke sada hi saath

Shiv ne hai brahmand rachaya

Teno log hai Shiv ki maya

Jin pe Shiv ki karuna hoti

Woh kankad ban jaye moti

Shiv sang taar prem ki jodho

Shiv ke charan kabhi na chhodo

Shiv me manwa maan ko rang le

Shiv masatak ki rekha badle

Shiv har jaan ki naas naas jane

Bura bhala weh sabh pehechane

Ajar amar hai Shiv avinashi

Shiv pujan se kate chaurashi

Yaha waha Shiv sarv vyapak

Shiv ki daya ke baniye yachak

Shiv ko dijo sachi nistha

Hone na dena Shiv ko rustha

Shiv hai shradhha ke hi bhuke

Bhog lage chahe rukhe sukhe

Bhawana Shiv ko bus me karti

Preet se hi toh preet badhti

Shiv kehte maan se jago

Prem karo abhiman tyago

Duniya ka moh tyag ke Shiv me rahiye leen

Sukh dukh hani labh toh Shiv ke hi adhin

Bhasm ramaya parvati bhalabh

Shiv phal dayak Shiv hai durlabh

Mahakautaki hai Shiv shankar

Shul dhari Shiv abhayankar

Shiv ki rachana dharti ambar

Devo ke swami Shiv hai digambar

Kaal dahan Shiv rundan pusit

Hone na dete dharm ko dusit

Durga pati Shiv girija nath

Dete hai sukho ki prabhat

Shristi karta tripur kati

Shiv ki mahima kahi na jati

Divya tez ke ravi hai shankar

Puje hum sab hai tapi hai shankar

Shiv saam aur koi na daani

Shiv ki bhakti hai kalyani

Kehte muniwar guni sthani

Shiv ki bate Shiv hi jane

badiyo ka shiv piye hala hal

nekki ka raas batke har pal

sabke manorath sidh kar dete

sab ki chinta shiv har lete

bum bhola abdhut sarupa

shiv darshan hai atti anupa

anukampa ka shiv hai jharna

harne wale sab ki trishna

bhooto ke adhipati hai shankar

nirmal maan subh mati hai shankar

kaam ke shatru vish ke nashak

shiv mahayogi bhaya vinashak

ugarr roop shiv maha tezashvi

shiv ke jaisa kon tepashvi

himgiri parvat shiv ka dhera

shiv sanmukh na tike andhera

lakho suraj ki shiv hai jyoti

sabdo me shiv upman hoti

shiv hai jag ke shrijan haare

bandhu sakha shiv ishist humare

gao brahmaan ke weh hitkari

koi na shiv sa paropkari

shiv karuna ke shrot hai

shiv se kariyo preet

shiv hi param panit hai                    00:10:00


shiv sache maanmeet

shiv sarpo ke bhusan dhaari

paap ke bhakshan shiv tripurari

jata jut shiv chandrashekher

vishwa ke rakshak kalakaleshwar

shiv ki vandana karne wala 

dhan vaibhav paa jaye nirala

kasht nivarak shiv ki pooja

shiv sa dayalu aur na duja

Panch mukhi jab roop dikhawe

Danav dal me bhayay cha jawe

Dam dam damru jab bhi bole

chor nishachar ka man dole

ghot ghat jab bhang chadhave

Kya hai leela samjh na aave

Shiv hai yogi shiv sanyasi

Shiv hi hai Kailash ke vasi

Shiv ka das sada nirbhik

Shiv ka dham bada ramnik

Shiv ke bhrakuti se Bharav janme

Shiv ki murat rakho maan me

Shiv ka archan mangalkari

Mukti sadhan bhav bhayhari

Bhakt Vatsal deen dayala

Gyan sudha hai Shiv kripala

Shiv naam ki nauka hai niyari

Jisne sabki chinta tari

Jeevan sindhu sahaj jo tarna

Shiv ka harpal naam sumarna

Tarkasur ko marne wale

Shiv hai bhakto ke rakhvale

Shiv ki leela ke gun gana

Shiv ko bhul ke na bisrana

Andhkasur se dev bachaye

Shiv ne adhbhut khel dikhaye

Shiv charno se lipte rahiye

Mukh se Shiv Shiv Jai Shiv kahiye

Bhasamasur ko var de dala

Shiv hai kaisa bhola bhala

Shiv tirath ke darshan kijo

Man chahe var Shiv se lijo


tags: shiv amritvani bhajan , full shiv amritwani bhajan lyrics, shiv amrit ki pawan dhara lyrics,
lyrics of shiv amritvani by anuradha paudwal in hind, shiv amritvani meaning, shiv amrit vani free download, free download amrit vani of shiv

Comments

Most Searched Bhajan Lyrics of the Month

[तु पहाड़ा पे रहवे] Mere Bhitar Bhole Tu Bole Likhit Shiv Bhajan Lyrics

The  Haryanvi Bhajan "Mere Bheetar Bhole Tu Bole" heartfelt bhajan reflects the deep spiritual connection and reverence the devotee feels towards their deity. The lyrics express an intimate conversation between the devotee and the divine, where the devotee often feels that the deity speaks from within them. They draw parallels between their own life and the life of their revered deity, highlighting the similarities and shared struggles. The bhajan emphasizes unwavering faith and dedication, portraying a sense of unity and oneness with the divine. The repetitive phrases underscore the constant presence and influence of the deity in the devotee's life, fostering a sense of peace, guidance, and inner strength.